1 جولائی 2011
وقت اشاعت: 18:50
Wazeer e Azam Azad Kashmir کاوفاقی aur Punjab hukoomaton par dhandli kaalzam
آج نیوز -
Wazeer e Azam Azad Kashmir ka intikhabaat mein wifaqi aur Punjab hukoomaton par munazzam dhandli ka ilzaam, sardar Ateeq ka kehna hai k cheif election commissioner ko baar baar phansi di jaye. sardar Ateeq ne tajweez di k masla Kashmir hal karnay kay liye Pakistan aur Bharat kay fouji hakkam kay darmain mazakraat honay chahiye. Islamabad mein press conference kartay huay sardar Ateeq Ahmed ne kaha k in kay halqon mein intikhabaat bila waja multawi kiye gaye. muslim conference kay umeedwaron kay nataij jaan boojh kar rokay gaye. Azad Kashmir intikhabaat mein dhandli kay paish e nazar Pakistan kay election fouj ki nigrani mein karaye jayen. sardar Ateeq ne kaha k wifaqi aur Punjab hukoomat ne intikhabaat mein munazzam dhandli ki. in kay kirdaar say fareeq honay ka ta-assur ubhra hai. Nawaz Sharif ne muslim conference ka vote bank taqseem kya aur MQM kay saath zayad-ti ki gayi. sardar Ateeq ne kaha k in halaat mein ghair zaroori mudakhlat Kashmir cause ko nuqsaan pohanchanay kay mutradif hai.