تازہ ترین سرخیاں
 تازہ ترین خبریں 
28 جون 2011
وقت اشاعت: 12:14

MQM kay sobai wazraa kay istifa qaim maqam gornrko paish

اے آر وائی -

MQM kay chodah sobai wazraa ne apnay ehtajaji istifa qaim maqam governor Nisar Khorho ko paish kar diye hain. MQM kay rehnuma Raza Haroon ki sarbarahi mein mutahidda kay chodah sobai wazraa ne governor house ja kar apnay istifa paish kiye.



is mauqa par qaim maqam governor ne MQM say faislay par nazar sani karnay ka mashwarah diya jis par Raza Haroon aur deegar wazraa ne wazeh kiya ke mustafi honay ka faisla markazi qayadat ka hai jo atal hai. Raza Haroon ne mutalba kya ke in kay istifa jald Manzoor kiye jayen taa ke hizab e ikhtilaaf kay sarbarah kay liye MQM apna umeed waar naamzad karay aur aik fa-aal opposition ka kirdaar ada kar sakain.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.