30 جون 2011
وقت اشاعت: 19:15
Peshawar : shoba bazaar mein dhamaka, 4 afraad zakhmi
اے آر وائی -
Peshawar kay shoba bazaar mein aik gaari mein dhamakay say 4 afraad zakhmi ho gaye. fori tour par dhamakay ki noiyat ka ilm nahi ho saka. waqea kay baad police ki bhaari nafri jaye waqooa par pahonch gayi aur imdadi teamon ne zakhmion ko qareebi aspatalon mein muntaqili shuru kar di.