1 جولائی 2011
وقت اشاعت: 19:41
Gurdon ki farokht mein mulawis ghair mulki sameit 7 afraad giraftar
جنگ نیوز -
Lahore cantt kay ilaqay joray Pal mein police ne gurdon ki tabdeeli aur operation kay ilzaam mein aik doctor sameit saat afraad giraftar kar liye jin mein aik ghair mulki shakhs bhi shaamil hai. Lahore kay ilaqay joray Pal mein aik makaan par gurdon kay operation aur tabdeeli ittila milnay par muqami logon ne andar ghis kar doctor aur saat afraad ko pakar kar police kay hawalay kar diya. police kay mutabiq yeh karaye ka makaan tha jisay unhon ne mukammal operation theatre bana rakha tha. police kay chapay kay waqt operation theatre mein do mareez bhi mojood thay. police kay mutabiq giraftar afraad mein aik ghair mulki bhi hai jis ka talluq Indonesia say hai.