3 جولائی 2011
وقت اشاعت: 10:4
Khyber Pakhtunkhwa mein pan bijli kay 11 mansoobon par kaam shuru
جنگ نیوز -
Senior wazeer Khyber Pakhtunkhwa, Raheem daad Khan ne kaha hai k hukoomat ne pan bijli kay 11 mansoobon par kaam shuru kar diya hai jin say 8 so mega what bijli dastyab ho gi. Geo News say guftagu mein senior wazeer Raheem daad Khan ne bataya k hukoomat ne faisla kya hai k pan bijli kay khalis munafe say milnay wali raqam ko bijli kay mansoobon par he kharch kya jaye ga. unhon ne kaha k soobah mein pan bijli kay gayarah naye mansoobay shuru kiye jarahay hain jin say 8 so mega watt bijli dastyab hogi. Raheem daad Khan ne kaha k an FC award kay baad soobah apnay paon par kharay honay mein kamyaab howa hai jabkay mojooda hukoomat ne taraqiyati budget ko saath arab say barha kar 67 arab kya hai.