3 جولائی 2011
وقت اشاعت: 11:14
Quetta : mehakma samaji behbood kay daar-al-aman say paanch bachay, 12 larkiyan faraar
جنگ نیوز -
Quetta mein mehakma samaji behbood kay zair e intizam chalaye janay walay daar-al-aman say paanch bachay aur 12 larkiyan faraar hogyin. daar-al-aman intizamia kay mutabiq daar-al-aman say aaj subah saweray kise waqt mein barah larkiyan aur paanch bachay faraar hogaye, intizamia kay mutabiq woh daar-al-aman ki uqbi khirki tor kar faraar huay, doosri janib police kay mutabiq barori road par waqe daar-al-aman say larkiyon aur bachon kay faraar kay hawalay say tehqiqaat shuru kar di gayeen, shehar mein bas adday, railway station aur mukhtalif maqamat par larkiyon ki talaash shuru kar di gayi hai.