2 جون 2011
وقت اشاعت: 14:41
Dair say sonay walon ka wazan zyada barhta hai
Mahireen sahet ne inkishaaf kya hai ke jo afraad raat ko dair say sotay hain in ka wazan barhnay ka imkaan zyada hota hai.
shahron ki pur ronaq zindagi mein amuman raat ko dair tak jaagne ki aadat hojati hai jo soorat keliye nuqsaan deh tou hai he, saath he wazan bhi barhata hai.
America mein ki gayi tehqeeq k mutabiq jo log raat ko dair gaye kaam kartay hain ya unhain jaagne ki bemari hoti hai in k wazan mein subah uthnay walay logon ki wazan barhnay ka khatrah zyada hota hai. iss liye jaldi soyen aur sahet banayen.