تازہ ترین سرخیاں
 دلچسپ خبریں 
4 جون 2011
وقت اشاعت: 6:21

E koli bacteria say halak afraad ki tadaad athaara hogayi

Germany aur deegar Europi mumalik mein kheeray say phelnay walay E koli bacteria say halakaton ki tadaad athaara hogayi hai. jabkay athaara so say zayed afraad mutasir ho chukay hain. ghair mulki khabar agency k mutabiq Germany mein e koli bacteria say mutasirah do so naye mareez aspatalon mein daakhil huay hain. mutadid mareezon ki haalat tshoyshnak hai.


doctoron k mutabiq E koli mohlik bacteria hai jo sabzion k zariye insanon k gurdon, khoon aur asaab par hamla karta hai. Europe mein athaara afraad halak ho chukay hain jin mein satrah amwaat Germany mein huien. America aur Japan mein bhi e koli k marz ki tashkhees hui hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.