تازہ ترین سرخیاں
 دلچسپ خبریں 
5 مارچ 2011
وقت اشاعت: 20:48

Papeeta, vitamins aur enzymes ka behtareen zareya hai, ghizai mahireen

Ghizaiyat say bharpoor phal Papeetay mein qudurat ne bay panah fawaid rakhay hain. Papeeta, vitamins aur enzymes ka behtareen zareya hai. Mahireen e Sahet o Ghizaiyat k mutabiq Papeetay ka talluq phalon k iss group say hai jo anti oxydents ki bharpoor salahiyat rakhtay hain. Papeetay mein vitamin si, bi aur e k ilawa phosphorus aur potassium bhi paye jatayy hain. yeh insani sahet par mo-assar asraat murattab kartay hain. Papeetay mein faybr ki mojoodgi cholesterol level kam karnay ka sabab bantii hai jabkay iss ka munasib istemaal jald par musbat asraat dalta aur quwwat emudafat barhata hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.