تازہ ترین سرخیاں
 دلچسپ خبریں 
5 مارچ 2011
وقت اشاعت: 20:48

Two, s am s aur chatting zabaan k bigaar k ahem kirdaar

Aaj jab ke duniya bhar mein maadri zabanon ka aalmi din manaya ja raha hai mahireen lasaniat zabanon k bigaar par nihayat tashweesh ka shikaar hain. mojooda zamanay mein samaji rawabit ki websites aur sms mein lafzon ko mukhtasir karkay likhnay ka rujhan aam hai jabkay yahan likhi janay wali zabaan mein hijjay aur qawaid o zawabit ka khayaal bhi nahi rakha jata. In zaraye par istemaal ki janay wali Urdu aur Angrezi ki malghobah zabanon ne nojawanon ki nah tou Urdu durust rehnay di hai aur nah he Angrezi. Nojawanon ki zindagi ka ahem hissa ban janay wali yeh jadeed technology in ki aam zindagi par bhi asar andaaz ho rahi hai aur nah sirf bol chaal balkay ab tou tehreer mein bhi in k asraat numaya nazar aa te hain. Aksar talib e ilm apni imtihani copiyon mein bhi SMS aur Twitter par istimaal ki ja ne wali zabanen he likh rahay hain. Kam Umar bachay lafzon ki asli hijjay bholtay ja rahay hain or grammer k usoolon ki bhi in k nazdeek ahmiyat barqarar nahi rahi. Angrezi lafz YOU k liye sirf harf U aur WHY k liye harf Y ka istemaal aam si baat ban chuka hai, hadd tou yeh hai ke ab tou As Salam o Alikum ka kaam bhi sirf AOA say chala liya jata hai. Usaatzaa aur mahireen lasaniat ka kehna hai ke nojawanon mein durust aur achi zabaan ki ahmiyat ka ehsas ujagar karnay ki ashad zaroorat hai aur iss silsilay mein ijtimai tour par ayesay iqdamaat karnay chahiyen jin say zabanon ka asli husn barqarar rahay aur anay wali naslen zabaan ki haqeeqi khubsoorti say mahroom nah hon.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
آپ آخری مضمون پر ہیںپرو کے چڑیا گھر میں ننھے سفیدبنگال ٹائیگرزتوجہ کا مرکز
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.