4 اکتوبر 2011
وقت اشاعت: 5:53
Karachi : Liyari mein search operation, mutadid girftar
اے آر وائی -
Karachi mein Liyari kay mukhtalif ilaqon mein rangers ne search operation kay doran mutadid afraad ko hirasat mein lay liya. raat gaye Liyari general hospital mein al falah road ka rangers ne muhasra kya tamam dakhli aur kharji raaston ki naka bandi ki gayi rangers ki janib say kya janay wala targtd operation teen ghantay taq jari raha. is doran mutadid afraad ko hirasat mein lay kar namaloom maqam par muntaqil kar diya gaya.
doosri janib Aziz Bhatti police ne Gulshan e Iqbal kay ilaqay say target killing mein mulawis aik mulzim ko girftar karkay asleha bar aamad karnay ka dawa kiya hai.