28 ستمبر 2011
وقت اشاعت: 3:40
Lagaan duniya ki 25 behtareen sports filmon mein shaamil
جنگ نیوز -
Bollywood ki oscar naamzad film ” lagaan “ ko duniya ki pachees behtareen sports filmon mein shaamil karliya gaya hai. mashoor Amrici jareeday Time Magazine ne. Bollywood kay mister perfect Aamir Khan ki das saal purani film lagaan ko sports ki pachees behtareen filmon ki fehrist mein chodhawan number diya hai. is film ki kahani cricket kay zariye engrazeo say apnay haqooq ki jung larnay walay nojawan kay gird ghhoomti hai. oscar award kay liye naamzad is film ko Amrici jareeday ne meelo drama aur masalha mix qarar daitay huay shandaar lafzon mein kharaaj tehseen paish kya hai.