16 نومبر 2011
وقت اشاعت: 5:12
Aishwarya raye bachpan beti ki maan ban gayeen
جنگ نیوز -
Sabiq haseena aalam aur Bollywood adakarah Aishwariya Rai Bachan kay han beti ki pedaish hui hai. unkay sasur aur Bollywood super star Amitabh Bachan ne apnay twitter pegham mein bachi ki pedaish ki khabar detay huay bataya k woh ab dada ban gaye hain. Aishwariya rai Bachan peer ki shab seven hills hospital mein daakhil hui theen, Hospital kay bahar security intizamaa thay jabkay in kay madahon ki aik bari tadaad bhi wahan mojood thi. wazeh rahay k aishwarya Rai Bachan kay haan bachay ki pedaish par satta mafia bhi sar garam thi aur karorron rupay ka satta laganay ki khabrain bhi samnay aa rahi theen.