تازہ ترین سرخیاں
 شہر شہر کی خبر 
9 جون 2011
وقت اشاعت: 23:25

Am que am zimma daraan tufaan say nimatnay ke liye tayyar rahay, Altaf Hussain

اے آر وائی -

Karachi : Sindh kay sahili ilaqon mein samandari tufaan kay khatray kay paish e nazar MQM mein hungami sorat e haal nafiz kar di gayi aur Altaf Hussain ne zimma daraan ko tufaan say nimatnay ke liye tayyar rehnay ki Hidayat jari kar di hai.

Muttahida Quami Movement (MQM) kay quaid Altaf Hussain ne MQM aur Khidmat e Khalq Foundation kay tamam zimma daraan ko Hidayat ki hai ke woh tufaan kay khatray say nimatnay ke liye zehni wa jismani tour par tayyar rahein MQM kay tamam dafatir mein hungami imdadi cell aur mutasirah sahili maqamat par imdadi aur tibbi imdadi camp qaim karein.

Karachi kay khursheed begum secreteriat mein telephone par guftagu kartay huay unhon ne kaha ke samandari tufaan aaya tou Sindh kay jageerdaroon aur waderon ka koi nuqsaan nahi hoga balkay ghareeb hari kisanon ki jaan wa maal ko shadeed nuqsaan pahonch sakta hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.