1 جولائی 2011
وقت اشاعت: 18:56
Karachi : CID police ne teen bhatta Khor giraftar karliye
اے آر وائی -
Karachi mein CID police ne taajiron ko dhamka kar bhatta wusool karnay walay teen afraad ko giraftar karliya. mulzimaan siyasi jamaaton kay naam par bhatta wusool kartay thay.
SSP CID Fayaz Khan kay mutabiq tenu mulzimaan arsalaan, Faizan aur Mohammad Hussain ko pridi kay ilaqay say giraftar kya gaya.
mulzimaan apna talluq siyasi jamaaton aur gang waar say zahir karkay doctoron, taajiron aur deegar karobari afraad say bhatta wusool kartay thay. mulzimaan Kharadar, ranchore line, saddar aur burns road ke mutadid taajiron aur doctoron ko jaan say maarny ki dhamki day kar bhatta wusool kar chukay hain.