1 جولائی 2011
وقت اشاعت: 19:14
Khanewal : jaali pair ne bachi kay hathon pairon ko aag laga di
اے آر وائی -
Khanewal mein jaali peer ne churail par qaboo panay kay naam par mazdoor ki beti kay hathon aur pairon ko aag lagadi.
Green city ka rehaishi Mohammad Sadiq apni pandrah sala bemaar beti zakia ko ilaaj ke liye jaali peer Safdar kay paas lay gaya. jaali peer ne larki par churelon kay qabzay ka batakar is kay hath aur pair chemical say jaladiye. jis par larki bay hosh hogayi. jaali peer ne larki kay waalid say aik bakra pehlay he lay liya tha.
Is ne dhamki di k dosra bakra nah diya tou larki marjaye gi. larki kay waalid ne mutaliqa hakkam say notice lainay ki appeal ki hai. doosri janib mobayyana mulzim Safdar ka kehna hai k aisa koi waqea siray say howa he nahi.