1 جولائی 2011
وقت اشاعت: 20:9
Medonna kay baad in ki beti bhi fashion ki duniya mein agaien
اے آر وائی -
New york : Amrici gulukarah Medonna aur in ki beti agaien aik baar phir fashion kay maidan mein material girl kay naam say fashion collections mein aagai hai aik aur tabdeeli ab taq tou khawateen kay liye is mein collections paish kya gaya tha lekin ab Medonna ki beti lords ne bhi apni hum Umar larkiyon kay liye munfarid aur stylish malbosaat tayyar karliye.
Medonna kay collections kay baray mein kayi afwaen bhi gardish mein rahein ke in kay banaye gaye malbosaat kay designs chori shudah heen. aik niji company kay harjanay kay baad Medonna ki company band hogayi thi lekin ab phir in ki beti ne himmat baandhi aur ramp par nah sahi sarkon par he apnay collections ki launching kar di.